Shauhar (Husband) aur Biwi (Wife) Aapas mein Kese Rahen aur Unke Huqooq
SHAWHAR
KE HUQOOQ
1-
allah ki nafarmani ke elawa aurat mard ki har baat me uski farmabardari kare
allah
ka irshaad hai:
fa-inna
a-ta-nakum fa-la tab-ghu alai-hinna sabeela
trans:
“agar wah tumhara kaha maan le toh phir un par koi raasta na talaash karo”
rasoollullah(sws)
ka farmaan hai:
” jab
mard apni aurat ko apne bistar par bulaaye aur wah na jaaye aur wah naraaz raat
guzaar de to farishte us aurat par subah tak laanat karte rahte hain”
(bukhari
wa muslim)
Aur
farmaya
” agar
main kisi ko huqm karta ki wah kisi ko sazda kare to aurat ko hukm karta ki
apne mard ko sazda kare”
(abu
dawood, haakim, sahih tirmizi)
2-
shauhar ke maal wa daulat, izzat wa aabru aur ghar ke saare maamle me uski
hifazat karda bane
aur
rasoollullah (sws) ne farmaya hai
” aurat
apne shauhar ke ghar aur uski awlaad ki rakhwali hai”
(bukhari
wa muslim)
3-
shawhar ke ghar me rahe, uski izazat wa marzi Ke bina baahar na nikle, apni
nazar neechi rakhe , unchi aawaz se baat na kare, buraayi se apne haath roke
aur zabaan ko gandi baaton se bachaaye, rishte daaron ke saath ehsaan me wahi
mamla rakhe jo uska shauhar ikhteyaar kiye hue hai, isliye ki jo aurat mard ke
maa baap aur qarabat daaron ke saath acchi nahi hai wah shauhar ke liye acchi
kahan hui??
Allah
ka irshaad hai:
wa-qarna
fi-buyu-tikunna wa-la tabar-rajna tabar-ruja al-jahiliyati al-oola
“aur
apne gharon me thahri raho aur jahiliyat ki tarah baanao singaar na karna”
aur
farmaya
fa-la
takh-zaa-na bi-al-qauli fayat-ma-aa al-lazi fi-qal-bihi mara-zun
” aur
baton me narmi na karna jiske dil me bimari hai wah lalak karega”
aur
farmaya
“aur
momina aurton se kahiye ki apni aankhe jhuka kar rakhen aur apni sharmgaahon ki
hifazat karen aur apni singaar ka dikhaawa na karen, ya yah ki jo khud se
zaahir ho jaaye”
aur
rasoollullah ne Farmaya
” acchi
auraton me wah aurat hai jab usko dekhe to tujhe khush kare, use hukam kare to
poora kare aur jab usse ghayab ho to apne nafs aur tere maal ki hifazat kare”
(tabrani
wa sanad sahih)
aur
farmaya
” allah
ki bandiyon ko masjid se na roko agar kisi ki aurat usse masjid jaane ki
izaazat talab kare to mana na kare”
(muslim
wa ahmad)
”
aurton ko raat ke waqt masjidon me jaane ki izazat de do”
(muslim,
abu dawood, ahmad, tirmizi)
1-
Bhale tareeqe ke saath aurat se nibaah kare jaisa ki allah ne huqm diya
wa-aa-siru-hunna
bil-maaroof
” aur
un(aurton) ke saath dastoor ke mutabik nibaah kiya karo”
yani
jab khana khaaye use khilaaye, kapda pahne to use pahnaaye, uski nafarmani ka
khatra mahsoos kare to allah ke huqm ke mutabik samjhaaye, agar kaha maan le to
theek hai warna bistar ki judaai akhtiyaar kare, agar is chot se theek ho jaaye
to theek warna Mamooli chot aur chetawni(warning) de aur uska khoon na bahaaye
aur na maar kutaayi karke use zakhmi kare aur nahi uske jism ka koi hissa tode
rasoollullah(sws)
ne ek shakhs ne poocha biwi ke shauhar par kya huqooq hain? Aap ne farmaya:
” jab
khana khaaye to use khila, libaas pahne use pahna, uske muh par na maar aur
bura na kah aur baatcheet tark kare to shirf ghar ki hadd tak”
(abu
dawood)
2- biwi
ko zaroori deen ke ahkaam sikaayen agar wah nahi jaanti ya use izazat de ki wah
majalis ilm me shareek ho aur ilm haasil kare isliye ki aurat ko apne deen aur
ruh ki islaah ki usse zyada zaroorat hai jitni use khaane aur peene ki zaroorat
hai, allah farmata hai
ya-ai-yuhal-lazeena
aa-manu quwa-anfusakum wa-ah-liyakum naaran
“aiy
emaan walon! Apne aapko aur ghar walon ko aag se bachaao”
aur
isliye bhi ki rasoollullah (sws) ne farmaya:
“suno!
Aurton ke baare me acchi nasihat kubool karo wah Tumhare paas paband ho chuki
hain”
(bukhari,
wa muslim)
allah
ka irshaad hai
al-rijaalu
qawa-moona ala an-nisa
” mard
aurton par zimme daar hai”
aur
rasoollullah ne farmaya:
” mard
apne ghar par jimmedar hain aur unki jimmedari ke baare me unse poocha jaayega”
(bukhari,
muslim)
agar do
ya do se zyada biwiyan hain to unke beech insaaf kare..
Allah
ka irshad hai
fa-inna
khifa-tum al-la ta-dilu fa-wa-hida tan aw-wama malakat ay-ma-nukum
” agar
tumhe khatra hai ki insaaf na kar sakoge to ek hi se nikaah karo ya jo tumhari
milkiyat me hai”
Shauhar Husband aur Biwi Wife Aapas mein Kaise Rahen
Shauhar Husband aapas mein kese rahen aur unke Huqooq
<!—Responsive3 -->
Allah ne shohar aur biwi
dono ke apne apne huquq rakhe hain, dono ki apni apni zimmedariyan hain, jisko
nibhana chahiye.
♥ Behtareen
Shohar Kaun♥
Jo Apni Biwi Ke Sath Narmi, aur acchi tarah se
Pesh Aaye.
Jo Apni Biwi Ka haq ada karne mein, pani hesiyat
ke hisab se kisi tarah ki kami na rakhe
Jo Apni Biwi Ka Iss Tarah Ho Ker Rahen Ke Kisi
Ajnabi Aourat Per Nigah Na Dale.
Jo Apni Biwi Ko Apne aaram,khushiyo mein shaamil
rakhe.
Jo Apni Biwi Per Kabhi Zulm na kare
Jo Apni Biwi Ki kisi kharab baat par bhi sabr kare
Jo Apni Biwi Ki acchaiyon Par Nazar Rakhe Aur
chhoti-moti Galatiyon Ko Nazar Andaz Kare.
Jo Apni Biwi Ki Musibaton Bimariyon mein wafadari
kare.
Jo Apni Biwi Ko Parde Me Rakh Kar Izzat-O-Aabru Ki
Hifazat Kare.
Jo Apni Biwi Ko Zillat-o-Ruswayi Se Bachaye Rakhe.
Jo Apni Biwi Ko islam par chalne ki samjhaish deta
rahe.
Jo Apni Biwi Ke jayaz kharcho mein Kanjoosi Na
Kare.
Jo Apni Biwi Per Iss Tarah control mein rakhe ke
wo kisi burai ki taraf na jaae.
<!—Responsive4 -->
♥ Behtareen
Biwi Kaun ♥
Jo Apne Shohar Ki baat maane aur isko pura karna
apna farz samjhe.
Jo Apne Shohar Ke saare haq pura kare,
Jo Apne Shohar Ki Khubiyon Per Nazar Rakhe Aur
Ussju kamiyo Ko Nazar-Andaz Karti Rahe.
Jo Khud Takleef Utha Kar Apne Shohar Ko Aaram
Pohchane Ki Hamesha Koshish Karti Rahe.
Jo Apne Shohar Se Uss Ki Aamdani Se Zyada Ka
kharcha karne ka na bole, sirf jayaz kharcha karne ko hi bole.
Jo Apne Shohar Ke Siwa Kisi Ajnabi Mard Per Nigah
Na Dale Na Kisi Ki Nigah Apne Uper Padhne De.
Jo Parde Me Rahe Aur Apne Shohar Ki Izzat-O-Namoos
Ki Hifazat Kare.
Jo Shohar Ke Maal Aur Makan aur Saman Aur Khud
Apni Jaat Ko Shohar Ki Amanat Samajh Ker Har Cheez Ki Hifazat-O-Nigehbani Karti
Rahe.
Jo Apne Shohar Ki Musibat Me Apni Jani-O-Maali
Qurbani Ke Sath Wafadari Ka Saboot De.
Jo Allah ka haq ada karti rahe, saath hi shohar ki
baat bhi maane.
Jo Padosiyon(Aurto) Aur Milne Julne Waali Aourton
Yaani Saas, Nanand, Sasurali Rishtedar, Ke Sath Khush Akhlaqi (acchi tarah mile)
Jo Maika, Sasural Dono Gharon Me Har-Dil Azeez Aur
Ba Izzat Ho.
Quran :
2 Surah Baqarah, Aayat 187 :
Ù‡ُÙ†َّ Ù„ِبَاسٌ Ù„َÙƒُÙ…ْ ÙˆَØ£َÙ†ْتُÙ…ْ Ù„ِبَاسٌ Ù„َÙ‡ُÙ†َّ
Wo (biwiya) tumhare liye libaas hain aur tum unke
liye libaas ho.
Libaas insan ki zinat badhata hai aur uske aib
chhupata hai.
Isi tarah shohar aur biwi ko bhi ek dusre ke aib
chhupana chahiye aur dusro ke saamne zaahir nahi karne chahiye aur koi galti ho
jaaye to narmi ke saath use sahi baat samjhani chahiye aur galat fehmiyo ki
wajah se paida hone wale burai (mis understanding) se hamesha bachna chahiye
aur ek dusre ki izzat ki hifazat karni chahiye aur ek dusre ki khubiya par
nazar rakhna chahiye, khud bhi hamesha aise kaam karne chahiye ke ek dusre ki
izzat badhe.
***********
Hadeese Nabawi :
(1) hazrat Muhammed ï·º ne farmaya Agar main kisi
ke liye Sajde ka hukm deta to Aurto ko hukm deta ki apne shohar ko sajda kare.
(Tirmizi, Jild -1, Baab -788, Safa 594, Hadees
-1158,
Mishkat, al-Masabih, Hadees -7)
(2) hazrat Muhammed ï·º se kisi ne arz kiya ke –
Behtareen Aurat ki pehchan kya hai? Aap ne farmaya
Jo Aurat apne Shohar ka kehna maane.
(Nisaai, Jild -2, Safa -364)
(3) hazrat Muhammed ï·º ne farmaya
Jo Aurat 5 time namaaz padhe, Ramazaan ke roze
rakhe, apni izzat aabroo ki hifazat kare aur apne shohar ka kehna sune to wo
jannat ke darwazo me se jis darwaze se chahe daakhil ho jaayegi.
(4) Koi aurat bagair apne shohar ki ijazat ke
nafli roza nahi rakh sakti.
(Sahih Bukhari, Hadees -5192, Sahih Muslim, Hadees
-1026)
(5) Agar kisi aurat ka shohar raat ko uske saath
sona chaahe, aur biwi bina kisi jayaz wajah ke mana kar de, aur shohar naraz
hokar so gaya to puri raat rahmat ke farishto se biwi mehroom rehti hain.
(Bukhari shareef, Jild -3, Baab -115, Safa -96,
Hadees -178)
***********
6) hazrat Muhammed ï·º ne farmaya – tumme sabse
behtar wo insan hai jo apni biwiyo se acche rahte hain, aur mein tumme sabse
accha hu,
matlab ye hua ke wo insan sabse accha hai jo apni
biwi se accha rahta hai, aur mein apni biwiyo se tum sabse zyada accha rahta hu.
7) hazrat Muhammed ï·º ne farmaya – jo apni
biwiyo se accha rahe, unki kamiyo ko nazar andaaz kare, to wo jannat mein mere
pass hoga
(Mafhoom e hadees)
Shohar aur Biwi ke liye in baato ko apnana khas
zaroori hai :
(1) Aapas me mohabbat rakhen aur ek dusre par
bharosa rakhe aur ek dusre se achhi tarah rahe.
(2) Ek dusre ki acchaiyo par nazar rakhe aur
kamiyo ko aur mamooli galtiyo ko nazar andaz kare.
(3) Ek dusre ko sahi raay (sggestion) de aur islam
seekhne aur us par amal karne ka bolte rahen.
(4) dusro ke saamne sharm aur haya se pesha aaen,
aur aesa koi kaam na karen, jisse ek dusre ki izzat kam ho.
Ek dusre ke raaz ya kamiyo ko chhupa kar rakhe,
rakhe aur dusro ke saamne na bataen.
(5) Ek dusre ki jaiz zaroorato ka khayal rakhe.
Mard halaal rozi kama kar laaye aur ghar ke
kharcha ko pura kare
Aur Aurat uski halaal kamai se khaane ka aur dusri
zaroorato ka khayal rakhe. Aur uske halal rizq par shukr aur sabr kare aur ghar
ka, maal ka aur rishtedaro ka aur ghar walo ka khayal rakhe.
(7) ek dusre ke liye wafadar hon, husband kisi
gair aurat ke baare mein ya wife kisi parae mard ke baare mein na soche, na
usse taalluk (relation) rakhe,
8) Ek dusre ke Rishtedaaro ki izzat kare aur unse
acchi tarah mile.
(9) Kisi bhi musibat, bimari, pareshani mein ek
dusre ke saath rahen, aur ek dusre ko himmat dilane waali baat karen.
(10) Koi galti ho jaaye to us baat ko aaram se,
pyar se samjhaen,
(11) Aesa koi kaam na kare, jisse ek dusre ke liye
dil mein shak peda ho. Agar shohar ko kuch kaam ya tarika pasand nahi to biwi
iska dhyan rakhe, aur agar biwi ko kuch baat pasand nahi to shohar dhyan rakhe.
(11) ALLAH taala se ek dusre ke liye dunya aur
aakhirat me bhalai ki aur khairo barkat ki aur salaamati ki dua kare.
Jab miya biwi ek dusre ko pyar se dekhte hain to
Allah dono ko khush hokar (pyar se) dekhta hai.
Insan se har time ka hisab liya jaaega, kewa kuch
time ka nahi jisme miya biwi ka beth kar pyar se aur acchi tarah baat karna
shaamil hai.
Allah har miya-biwi ko ek dusre ko samajhne, ek
dusre ki izzat karne, ek dusre ka khyal rakhne, ek dusre se pyar karne wala,
fikar karne wala, bharosa kaayam rakhne wala bana de. Aameen.
Most Searched Terms
|
get
an auto insurance quote online
|
insurance
quotes auto online
|
quote
on car insurance online
|
online
quotes for auto insurance
|
get
online auto insurance quote
|
|
massachusetts
auto insurance
|
need
auto insurance quotes
|
|
quotes
for auto insurance online
|
affordable
auto insurance quotes
|
insurance
quotes for auto
|
|
massachusetts
car insurance
|
auto
insurance companies quotes
|
|
car
and auto insurance quotes
|
|
where
can i get car insurance
|
car
insurance estimate online
|
|
estimate
car insurance quote
|
car
insurance quotes near me
|
|
insurance
quote on new car
|
insurance
quotes car insurance
|
|
car
insurance quotes without a car
|
|
online
quote insurance car
|
|
auto
insurance companies online
|
get
a quote auto insurance
|
|
i
need car insurance quotes
|
|
i
need a quote on car insurance
|
i
need a car insurance quote
|
|
buy
auto insurance online
|
|
|
|
|
lowest
car insurance rates
|
|
|
auto
insurance quotes comparison
|
|
|
|
automotive
insurance quotes
|
automobile
insurance quotes
|
|
|
get
an auto insurance quote
|
get
auto insurance quotes online
|
get
a quote for car insurance online
|
|
|
free
car insurance quotes
|
instant
online auto insurance quote
|
|
|
get
a quote on car insurance online
|
get
quote on car insurance
|
|
|
|
|
|
|
general
liability insurance
|
|
quotes
for insurance for auto
|
compare
auto insurance quotes
|
inexpensive
auto insurance
|
|
|
|
auto
insurance comparison quotes
|
|
different
car insurance quotes
|
|
find
auto insurance quotes
|
|
best
auto insurance quotes
|
|
get
a quote insurance car
|
lowest
auto insurance rates
|
|
|
full
coverage car insurance
|
|
|
|
|
best
auto insurance rates
|
|
instant
car insurance quote
|
|
jummah
prayer rakats sunni
|
|
jummah
prayer time near me
|
|
|
|
how
to perform jummah prayer
|
|
|
|
islamic
prayer times boston
|
|
|
|
|
|
islam
friday prayer times
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
how
to pray jummah prayer
|
|
|
|
|
|
|
|
|
congregational
prayer in islam
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
congregational
prayer meaning
|
|
|
|
|
friday
jummah prayer time
|
|
|
|
|
|
|
|
how
to pray jummah prayer at home
|
|
|
london
islamic prayer times
|
|
|
|
|
|
prayer
for friday morning
|
morning
prayer islam time
|
|
mosque
call to prayer times
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
prayer
for peace
|
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteSukhriya
Delete